People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Tu shayar hai, mein teri shayari
Singer: Alak Yagnik
Lyricist: Sameer
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Saajan/Too-Shayar-Hai-Main-Te
Tu shayar hai, mein teri shayari
Tu shayar hai, mein teri shayari
Tu aashiq hai mein teri aashiqui

Tujhe milne ko dil karta hai
Tujhe milne ko dil karta hai
O mere saajna

Tu shayar hai, mein teri shayari
Tu aashiq hai mein teri aashiqui

Teri har nazm tera har geet hai yaad mujhe
Jab tak saans chalegi
Bhoolungi mein toh tujhe

Tere bina jeena nahi
Khaake qasam kehti hoon
Tere bina jeena nahi
Khaake qasam kehti hoon

Meine bina, dekha bina
Jaane tujhe dil de diya

Tu dhadkan hai, mein teri zindagi
Tu shayar hai, mein teri shayari
Tujhe milne ko dil karta hai
Tujhe milne ko dil karta hai
O mere saajna

Tu shayar hai, mein teri shayari
Tu aashiq hai mein teri aashiqui

Apni betabi ka mein kaise tujhse izhaar karun
Apni betabi ka mein kaise tujhse izhaar karun
Kaise batlau tujhe jaane jaana
Kitna me pyaar karun

Labb pe koi naam nahin tere siwa mere saajan
Labb pe koi naam nahin tere siwa mere saajan
Mere iss dil pe tera hi nasha chaa gaya

Tu deewana, mein teri deewangi
Tu shayar hai, mein teri shayari

Tujhe milne ko dil karta hai
Tujhe milne ko dil karta hai
O mere saajna

Tu shayar hai, mein teri shayari
Tu aashiq hai mein teri aashiqui
Is Deewane Ladke Ko
Lyricist: Sameer
Album: Sarfarosh
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sarfarosh/Is-Deewane-Ladke-Ko
Arz Hai, Dawa Bhi Kaam Na Aaye, Koi Dua Na Lage
Dawa Bhi Kaam Na Aaye, Koi Dua Na Lage
Mere Khuda Kisi Ko, Pyar Ki Hawa Na Lage

Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye
Dard-E-Dil, Jaane Na, Paas Maein Jitna Aaun
Utni Door Yeh Jaaye, Jaaye, Haan Jaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye
Dard-E-Dil, Jaane Na, Paas Maein Jitna Aaun
Utni Door Yeh Jaaye, Jaaye, Haan Jaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Rang Na Dekhe, Roop Na Dekhe,
Yeh Jawaani Ki, Dhoop Na Dekhe

Arz Hai, Kuch Majnu Bane, Kuch Raanjha Bane
Kuch Romeo, Kuch Farhad Hue
Is Rang Roop Ki Chaahat Mein, Jaane Kitne Barbaad Hue, Vo Dekho

Ishq Mein Iske, Baanvri Hoon Mein
Yeh Bhala Hai To, Kya Buri Hoon Mein
Yeh Ladka, Hai Phir Bhi, Jaane Kyun Sharmaaye,
Jaane Kyun Sharmaaye,Jaane Kyun Sharmaaye, Haan Sharmaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Jaanti Hoon Mein, Yeh Tadapta Hai
Pyar Mein Iska, Dil Dhadakta Hai

Jise Dekho Dil Ki Dhuni Ramata Hai
Are Yeh Mandir Nahin Hai, Shivala Nahin Hai
Haseenon Se Kehdo Kahin Aur Jayen
Mera Dil Hai Dil, Dharamshala Nahin Hai

Yeh Akele Mein, Aah Bharta Hai
Phir Bhi Kehne Se, Yeh Kyun Darta Hai
Sach Kuchh Bhi, Bole Na, Jhoothi Baat Banaaye
Jhoothi Baat Banaaye, Haan Banaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye
Dard-E-Dil, Jaane Na, Paas Maein Jitna Aaun
Utni Door Yeh Jaaye, Jaaye, Haan Jaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Phool Khilte Hain, Bahaaron Ka Sama Hota Hai
Aise Mausam Mein Hi To, Pyar Jawaan Hota Hai
Dil Ki Baaton Ko, Hothon Se Nahin Kehte
Yeh Fasaana To, Nigaahon Se Bayaan Hota Hai.